Home About Articles Blogs Stories Contact
Philosophy & Culture
🌌The Possibility of God and Ghosts in Higher Dimensions

🌀God aur Ghost Kisi Aur Dimension Me?

Mustak Aalam July 25, 2025

Introduction

Hum sab jante hain jab hum kisi company join karte hain, toh wo hume ek I-card dete hain, jise hum access card bolte hain. Is card se hum company ke andar entry le sakte hain, aur jo kaam ke liye hire kiye gaye hain, sirf wahi karte hain. Agar hum apni marzi se kuch aur karte hain, toh company ke rules break hote hain. Phir company ke paas right hota hai humare khilaf action lene ka, aur wo humara access card bhi block kar sakti hai, taki hum wapas na aa sakein. Lekin jab hum apne ghar pe hote hain, toh baat alag hai. Ghar pe hum apni marzi ke malik hote hain, koi access card ki zarurat nahi.

Key Points

Ab tum soch rahe hoge, yeh company aur ghar ki baat kyun kar raha hoon jab topic God aur ghost ka hai? Thodi der ruk jao. Socho, hum humans 0 se lekar teen dimensions tak jo chahe dekh sakte hain, aur in teeno dimensions tak hume pura access hai. Mujhe sirf human species ka pata hai; baaki species ke baare mein nahi maloom ki wo higher dimensions dekh sakte hain ya travel kar sakte hain. Humans ke baare mein pata hai ki hum teen dimensions ke baad na toh dekh sakte hain na hi travel kar sakte hain—practically. Theoretically, yeh possible hai, jaise data science mein hum higher-dimensional datasets ke saath deal karte hain, lekin practically abhi tak nahi hua. Aage ka pata nahi. Toh shayad God aur ghosts kisi higher dimension mein rehte honge, aur unke paas hamari dimension mein aane-jane ka access ho. Shayad yeh access sirf God ke liye hai, kyunki agar God ne hi yeh world banaya hai, toh wo iska owner hai. God ne shayad un beings ko bhi access diya hoga jo is world ko protect karte hain, jaise angels. Par ghosts ke paas toh koi access card nahi hota hamari dimension mein aane-jane ka. Toh phir wo aate kaise hain? Wapas company wale example pe aao. Socho, ek corrupt employee jo company mein aane-jane ka access rakhta hai, wo kisi third bande ko apne card se andar aane deta hai, aur woh third banda company ko nuksaan pahunchata hai. Bilkul waise hi, jo log tantra-mantra karte hain, wo shayad wahi corrupt employees hote hain jo ghosts ko hamari dimension mein entry dete hain, taki wo yahan aake kuch bhi kar sakein.

Example

Ab tum bologe, agar yeh sach hai, toh God ke hisaab se yeh illegal hai. God ko us ghost ko saza deni chahiye. Yahan ek twist aata hai. Jaise hum humans bhi apne country ya world ke laws se bandhe hote hain, lekin hum loopholes dhoondh lete hain apna kaam nikalwane ke liye, bina law tode. Shayad ghosts bhi yahi karte honge. Jaise, agar koi tantric ne tantra-mantra se ghost ko bulaya, toh ghost God ke saamne bol sakta hai, “Maine khud nahi aaya, mujhe bulaya gaya tha, aur rules ke hisaab se agar koi sincerely bulaye toh main aa sakta hoon.” Lekin ek aur rule hai ki ghost kisi human ko directly nuksaan nahi pahuncha sakta. Toh ghosts apna loophole dhoondh lete hain. Wo khud apne asli roop mein attack nahi karte; ya toh kisi human ke body ka support lete hain, ya phir kisi non-living cheez ke saath harkat karke nuksaan pahunchate hain. Jab aisi cheezein hoti hain, hum humans bolte hain, “Yeh toh mental problem hai, ya koi magnetic force hai, ghost-wost kuch nahi.” Is tarah ghost God ke saamne innocent ban jata hai, kyunki wo directly kuch karta hi nahi. Angels bhi shayad aise hi kaam karte honge, bina law tode, loopholes dhoondh ke kisi ki help kar dete honge.

Conclusion

Toh baat yeh hai ki God aur ghosts shayad kisi higher dimension mein rehte hain, aur wahan se yeh sab activities karte hain, cosmic rules ke saath khelte hue. Yeh bas meri ek imagination hai. Maine bas socha ki shayad aisa hota ho. Sach mein kya hai, yeh toh mujhe bhi nahi pata.