Home About Articles Blogs Stories Contact
Philosophy & Culture
đź§ Are Humans Truly Advanced or the Most Foolish Species?

đź’¬Kya Human Sach Me Advanced Hai Ya Sabse Bada Bewakoof?

Mustak Aalam July 21, 2025

Introduction

Aaj hum sab jante hain ki Earth pe millions of species hain, aur unme se ek species hum humans hain. Humans ko chhod do, tab bhi millions of aur species hain. Ye sab species millions of years se hain, aur inke beech mein ladaiyaan bhi hoti rahi hain. Apas mein ladte hain, doosre species se ladte hain—ye ek tarah se natural phenomenon ya natural law hai. Par jab humans evolve huye aur unki population badhi, toh humans bhi apas mein ladne lage, jaise baki species. Lekin pata nahi kaise, humans ne jaise nature ke law ko tod diya aur nature ko hi apna weapon bana liya. Pehle unhone trees kaatke unhe weapons mein badla, aur usse ladna seekha. Ek tarah se, unhone nature ko weapon bana diya, jabki is poore Earth pe aisi koi species nahi mili jo nature ko weapon banaye.

Key Points

Humans ne yeh kiya, aur dhire-dhire unhone bahut kuch bana daala. Aaj humans ke paas nuclear bomb hai, jo poore Earth ko tabah kar sakta hai. Ye sab sirf human species ne banaya hai. Isliye hum humans kehte hain ki hum is Earth ki sabse intelligent aur advanced species hain. Par kya hum yeh bhi keh sakte hain ki hum sabse bade bewakoof hain? Socho, jab koi banda bina mehnat ke bahut ameer ho jata hai, toh usse apne aas-paas ke log bewakoof lagte hain. Usko lagta hai ki usse zyada advanced to koi hai hi nahi, aur woh sabpe apna raaj chalane ki koshish karta hai, kyunki usse lagta hai woh bahut advanced hai. Par hum sab jante hain ki usse bada bewakoof koi nahi jo aisa sochta hai. Toh kya hum humans bhi aise hi hain? Jo har species ko bewakoof kehte hain aur khud ko advanced samajhte hain? Socho, ek chhota sa rabbit ka bachha jungle mein akela chala jata hai. Uski family usse bachane jati hai, par tabhi ek lion ya wolf aata hai aur us bachhe ko uski family ke saamne maar deta hai, aur kha bhi jata hai. Isse us rabbit ki family pe kya guzarti hai, hum feel kar sakte hain. Par kya us rabbit ki family ne badla lene ke liye nature ko weapon banaya? Kya unhone lion ko maarne ke liye iron ke kante bichhaye? Kya unhone bomb banaye? Kya unhone sky se aati bijli ko weapon mein badla? Bilkul nahi. Kyun? Kyunki woh bewakoof the? Ya shayad wahi sabse intelligent species hain, jo woh sab jante hain jo hum humans bilkul nahi jante. Badle ki aag mein humne poore nature ko barbaad kar diya. Aaj badle ke kaaran humne almost sab kuch khatam sa kar diya hai. Shayad baki species yeh jante hain ki badle ki aag sab kuch khatam kar deti hai, isliye woh nature ko weapon nahi banate aur koi aur rasta dhoondhte hain jo nature ke khilaaf na ho. Woh survive karte hain, par humans ne aisa kabhi nahi kiya.

Example

Shayad baki species jante hain ki agar unhone nature ke saath chhed-chhad ki apne fayde ke liye, toh thodi der ke liye fayda hoga, par aane wali peedhi ko bahut takleef hogi, shayad woh survive bhi na kar payein. Jaise-jaise technology ka daur badh raha hai, waise-waise humans ki age ghat rahi hai. Kya pata baki species yeh pehle se jante hain ki nature ke saath khilwaad se har aane wali peedhi ko bhugatna padega? Isliye woh nature ke saath koi chhed-chhad nahi karte, aur hum humans jo khud ko advanced kehte hain, kya pata hum hi is Earth ke sabse bade bewakoof hain? Jo har roz nature ke saath khilwaad karke apni har artificial need ko na sirf generate karte hain, balki use poora bhi karte hain, chahe aane wali peedhi ka koi bhi nuksan ho. Hum humans ne apne jeene ka tareeka time ke saath badla hai, jisse hum decide karte hain kab kya karna hai, kab kya nahi. Is duniya ke ameer log apni life apne tareeke se jeete hain, enjoy karte hain. Par gareeb log bechare bas job karte hain, aur ameer banne ka intezaar karte hain taki woh bhi ameeron jaisi zindagi jee sakein. Par sirf 2-3% log hi yeh kar paate hain, baaki sab bas sapne dekhte-dekhte mar jaate hain. Isse yeh bhi prove hota hai ki is duniya mein sirf 2-3% humans hi apni life apne hisaab se jeete hain, baaki sab bas sapne dekhte hain aur ek din mar jaate hain. Aur hum is duniya ko advanced kehte hain, jabki 95% se zyada humans aaj bhi gulami ki zindagi jee rahe hain, aur hum phir bhi khud ko advanced kehte hain.

Conclusion

Ab agar hum doosri species ki baat karein, toh unmein almost 99% bilkul free hain. Jahan jaana chahe jaa sakte hain, jahan rehna chahe reh sakte hain, man kiya toh kuch karenge, warna apni masti mein mast. Koi tension nahi kisi non-living cheez ki. Bas khane ki tension hoti hai, aur woh milte hi unhe poori duniya ki khushi mil jaati hai. Phir bhi hum humans khud ko advanced kehte hain. Toh kya sach mein hum humans advanced hain, ya bewakoof?