Home About Articles Blogs Stories Contact
Mindset & Growth
🌐Lying is a Disease – Accept the Truth, Embrace the Power

🇮🇳Juth ek bimari hai – Sach ko apnao, khudko majboot banao

Mustak Aalam July 20, 2025

Introduction

Juth ek bimari hai. Socho jab tumne life me pehli baar juth bolne ki koshish ki thi… Tab tumhari juban ladkhada rahi thi, body kamp rahi thi. Aisa kyun? Kyuki tumhara body bhi janta tha — juth ek bimari hai. Aur agar isse apna liya to ye dheere-dheere slow poison ban ke tumhe andar se khokhla kar dega. Aaj ke time me 90% log juth bolkar apni life survive kar rahe hai. But sach ye hai — Wo juth dusro se nahi, khud se bol rahe hai.

Key Points

🤥 Khud se juth bolna Tum life me kuch karna chahte ho. Try karte ho. Fail ho jaate ho. Fir koi poochhta hai: “Kya hua Bhai?” Aur tum bolte ho: “Uski wajah se kaam bigad gaya.” “Agar wo nahi hota to me kar leta.” Lekin asli baat ye hai — tum khud ki galti accept nahi karte. Aur yahi pe aata hai ek power-packed word: > "Acceptance is a big deal." Just say: “Haan, me fail hua. Apni galti se. Lekin ab me wohi galti nahi dohraunga.” Aur agar koi aur kehta hai: “Bhai, tujhe kisi aur ki wajah se fail hona pada.” To bhi confidently kaho: “Nahi. Me khud fail hua. Mujhse galti hui thi. Wo banda hamesha waise hi rahega, lekin me khudko badal sakta hoon.” That’s real strength.

Example

💔 Love aur Acceptance Socho tum kisi se pyaar karte ho. Par wo tumse pyaar nahi karti. Tum sochoge: “Agar wo ladka nahi hota, to shayad wo mujhe pasand karti.” But sach kya hai? Wo tumhe pasand hi nahi karti. Bas. Kaho: “Thik hai. Uska haq hai kisi ko bhi pasand karne ka.” Real love me expectations nahi hoti. Bas respect aur care hoti hai. Agar wo kisi aur ko pasand karti hai, fir bhi kaho: “Uski pasand hai. Uska haq hai. Me bas dua karunga ki usse wo mile jise wo sach me chahti hai.” Aur agar koi bolta hai: “Wo to tujhe dekhti bhi nahi.” To muskara ke kaho: “Haan, nahi dekhti. Aur ye bhi thik hai. Kam se kam uski khwahish to puri ho.” Tum khudko andar se bhut strong mehsoos karoge. Kyuki Acceptance gives real power.

Conclusion

😔 Log acceptance se darte kyu hai? Aaj kal log apni galti accept nahi karte. Unhe lagta hai agar accept kar liya to log kamzor samjhenge. Isliye justification dete hai, excuses banate hai. Par sach to ye hai — Wo apne aap se hi bhag rahe hote hai. --- > "Dhage me lagi ganth apni mojudgai ka ehsaas hamesa karati rahti hai."