Home About Articles Blogs Stories Contact
Mindset & Growth
🧾The Truth Behind Credit Cards — Help or Trap?

🧾Credit Card — Help ya Trap? (Hinglish Version)

Mustak Aalam July 18, 2025

Introduction

Credit card — isko banane ka maksad waqay me bahut hi achha tha, haan sach me. Lekin dheere dheere banks aur NBFCs ne observe kiya ki yeh credit card ek highly profitable business ban sakta hai. Aur isi lalach me unhone ek game khela — ek aisa game jisme aaj zyada tar log fas gaye hain. Corporate world me jitne logon ko me janta hoon, unme se 90% se zyada log credit card ke karz me phase hue hain. Jab salary aati hai, to ghar me paisa dene se pehle, investment karne se pehle, kuch kharidne se pehle — sabse pehle credit card ka bill bharte hain ya fir EMI ka payment karte hain. Aur unhe khud bhi pata nahi hota ki wo life-long trap me phase chuke hain — banks aur NBFCs ke daura bichhaya gaya trap.

Key Points

⚠️ Ye trap kaise kaam karta hai? Mere hisab se credit card ek instant loan facility hai, ya kahen to emergency help facility. Iska asli maksad tha kisi emergency me madad dena. Socho agar kisi ke ghar me achanak koi problem aa jaye, jaise hospitalisation, ya urgent travel — to wo har kisi se madad mangta hai: > “Bhai, bas 10–15 din ki help kar de, salary aate hi wapas kar dunga…” Yahi hota tha — ro ro kar paise milte the. Lekin jab se credit card aaya — ye problem almost khatam ho gayi. Aap swipe karo, urgent need poori karo, aur agar agle mahine full payment kar do to koi interest bhi nahi lagta. Matlab na kisi ke samne hath failana, na delay.

Example

😈 Par ab game badal gaya... Wahi credit card jo emergency ke liye tha — ab use ho raha hai club, bar, cafe, wine, shopping aur trips ke liye — yani artificial needs ke liye. Aur banks/nbfc isko sirf allow nahi kar rahe — balki aggressively advertise bhi kar rahe hain: > “Har transaction par reward points kamao… fir use redeem karo!”

Conclusion

Aur yahi game hai. Banks ko pata hai ki jo banda sirf real needs pe kharch karega — wo kabhi loan nahi lega, aur har mahine bill chuka dega. Lekin agar banda wants, showoff, ya impulse pe paisa uda raha hai — to 70% chance hai ki wo bill default karega ya EMI me convert karega. Aur wahi to bank chahta hai. Wahi unka paisa banane ka tareeka hai. To dosto, is game ko samjho. Credit card madad karne ke liye bana tha, trap ban gaya hai — isliye aware raho!