Home About Articles Blogs Stories Contact
Mindset & Growth
How Banks and NBFCs Are Quietly Enslaving an Entire Nation

"Banks aur NBFCs ka Nation-Wide Psychological Loan Trap"

Mustak Aalam July 15, 2025

Introduction

Aksar log sochte hain ki unka kya sochna, kya karna—ye banks ya financial institutions ko kya pata hoga. Lekin reality me, wo aapke har thought, har behavior ko track aur predict kar rahe hote hain—aap family ke sath ho, doston ke sath ho, ya toilet me baite ho. Kyuki unka kaam hi ye hai: aapko ek psychological aur financial trap me fasa kar apna gulam banana. Aap kahoge, “Arey, bank ya NBFC humara kya bigaad sakte hain? Unke paas koi gun thodi hai!” Lekin dosto, unke paas paisa hai—jo kisi bhi government ke weapon se bhi zyada powerful hai.

Key Points

💸 Jab Paisa Banta Hai Trap Aapko kabhi call ya message aaya hoga: > "Sir, aap ₹10 lakh ke personal loan ke liye eligible hain." Aap khush ho jaate ho. Sochte ho bank hi bewakoof hai. Lekin wahi sabse bada game hai—wo aapko jeetne ka illusion dete hain, taaki asli game wo jeet sakein. ⚙️ Trap Kaisa Kaam Karta Hai Maan lo aapke account me ₹10,000 hain. Aapne us paiso ka proper planning bhi kar rakha hai. Lekin achanak ek NBFC aapko ₹1 lakh loan de deta hai. Aap accept kar lete ho. Khushi se aap wo chiz kharidte ho jo zarurat nahi thi—bas ek demand thi jo artificially banayi gayi thi. Aap kehte ho: “Apni salary se to sab cover ho jaayega.” Lekin jab aap ₹20,000 ka kharcha kar dete ho aur salary ₹10,000 hi aati hai—loan ke chakkar me aap aur fass jaate ho.

Example

🔄 Loan Cycle: Ek Asur Chakra Yahi to asli trick hai banks and NBFCs ki: 1. Pehle aapko loan deke khush karenge 2. Fir aapko aur chiz kharidne ki aadat dalayenge 3. Fir salary loan repay me chali jaayegi 4. Fir ek naya loan offer hoga 5. Aur aap pura life sirf loan ke liye kaam karte rahoge Ghar, savings, dreams—sab kuch collateral ban jaata hai. 🙏 Indian Govt ka Shukriya Phir bhi, me Indian Government ko salute karta hoon ki ab tak banks & NBFCs ko full control nahi diya gaya. Agar diya gaya hota to socho kya ho sakta tha. Par fir bhi, wo illegal recovery tactics use karte hain, pressure banate hain, mental harassment karte hain.

Conclusion

✅ Meri Advice Jitna ho sake, loans aur credit card avoid karo. Agar lena bhi ho to, finance ka knowledge lo ya kisi financial advisor se consult karo. Warna ye loans sirf aapko slavery me dhakel denge.