Home About Articles Blogs Stories Contact
Philosophy & Culture
🌌 Are We All Time Travelers?

🌌 Kya Hum Sab Time Travelers Hai?

Mustak Aalam July 15, 2025

Introduction

(Ek Soch jo Present, Future aur Past ko naye nazariye se dekhti hai) 🕒 Present Travelling – Hum Ek Hi Time Pe Do Jagah Ka Gawah Kaise Ban Jate Hai? Aaj ke zamane me live video call ek normal chiz ban chuki hai. Sochiye aap India me baithe ho aur aapka dost England me hai. Aap dono live video call pe ho. Iska matlab kya hua? Aap uss moment me India ke saath-saath England ke bhi live witness ho. Jis waqt aap India me dekh rahe ho ki kya ho raha hai, usi waqt aap England me bhi dekh rahe ho ki kya ho raha hai. Agar dono jagah ek hi time pe accident ho jaye, to aap dono jagahon ke eyewitness ban gaye. Aap kahoge: "Maine England me live dekha, kyunki call chal rahi thi." "Maine India me bhi sab dekha, main yahin tha." Lekin, ek important point ye hai ki aap sirf dekh sakte ho, aap us present ko touch ya change nahi kar sakte. Yahi ek tarah ka present time travel hai – visual witness banna, bina physically move kiye.

Key Points

🚀 Future Travelling – Time Ko Beat Karna Possible Hai? Sochiye aapne decide kiya ki aapko America jana hai. Aaj ke time me aap flight leke ek din me USA pahuch jaoge. Lekin agar ye soch purane zamane me sochi jaye jab koi technology ya transport system nahi tha, to kya hota? Maan lo aapke dost ka ek dost USA me kaam karta tha. Us time wo shayad paidal ya kisi slow method se travel karta tha, aur ek saal me pahucha. Phir wapas aate waqt bhi ek saal laga. Ab agar aap uske 2 saal baad jaoge to: Wo place change ho chuki hogi. Wo dost us jagah pe ho bhi ya na ho, ye unsure hai. Time ke saath world bhi evolve ho chuka hoga. Lekin jab aap flight se ek din me pahuch jaate ho to aap literally us jagah pahuch jaate ho pehle jahan koi aur pahuchne me 1-2 saal lagata. To aap time ko beat kar rahe ho. Aap ek tarah se future me jump kar rahe ho. To har baar jab hum vehicle ya technology ka use karte hai – hum time travel kar rahe hote hai.

Example

📼 Past Travelling – Hum Dekh To Sakte Hai, Par Badal Nahi Sakte Ab baat karte hai past ki. Hum past me physically jaa nahi sakte, but hum use recordings ke through dekh sakte hai. Jese purani videos, photos, ya documents. Sochiye agar ek din aisi technology aaye jisme hum ek live video call past ke kisi moment se connect kar paaye – aur hum khud hi apne past wale version se baat karein! Abhi ye possible nahi hai, but jo chize pehle impossible thi, aaj common hai – jese airplane, internet, mobile phone, AI, etc. To kya pata ek din past live call ya future live call bhi possible ho jaye.

Conclusion

✨ Conclusion – Kya Ye Time Travel Ka Proof Hai? Main nahi keh raha ki hum kisi time machine me baith kar gaya hai, lekin hum har roz kisi na kisi form me time travel kar rahe hai: Present me: via live video calls Future me: via high-speed transport and predictions Past me: via recordings and memories Bas ab ek step bacha hai – live interaction with the past or future. Shayad future me ye bhi ho jaye.