Home About Articles Blogs Stories Contact
Mindset & Growth
📝Private Job vs Government Job – My Honest Opinion

📝 Private Job vs Government Job – Mera Realistic Nazariya

Mustak Aalam July 13, 2025

Introduction

🔷 Government Job – Jaise Ek Fixed Deposit (FD) Main Government Job ko ek Fixed Deposit (FD) ki tarah dekhta hoon – jisme zero risk hota hai, aur balanced reward. India me aksar log Government job ke peeche bhagte hain. Lekin is bhagne ki wajah kya hai? Lack of information, social pressure, aur respect ki chahat. Bahut kam youth genuinely Government job ko apna dream banate hain. Mostly log sirf isliye government job chahte hain kyunki unke aas-paas sab bolte hain: “Govt job milegi to respect milegi, life set ho jayegi.” Lekin kya ye sach me sapna hai? Sapne wo hote hain jo impossible ko possible banate hain. Kya ek normal government job aapke bade sapno ko cover karti hai? UPSC jaise exams alag category ke hain – wo log sach me dream follow kar rahe hote hain. Baaki jobs mostly sirf “secure life” ke liye hoti hain.

Key Points

đź”· Government Job = Security, Not Dreams Government job me aapko: Permanent job milti hai Regular increment & bonuses Inflation se bachaav Lekin sapne? Growth? Innovation? Risk-taking? Un sabki space kaafi limited hoti hai.

Example

Ek example: Aap 2025 me car lena chahte ho, lekin plan delay karke 2030 me lete ho. Aapki salary slow but stable grow karti rahegi, jisse aap 2030 me wo car afford kar sakte ho. That’s the beauty of stability. Jaise FD me paisa rakhkar inflation se bach jaate ho. 🔷 Private Job – Jaise Stock Market Trading Private Job ka nature bilkul high risk – high reward jaisa hota hai. Jaise stock market me equity trading hoti hai – agar sahi skill aur knowledge hai to sky is the limit! Private job me: Aapke paas freedom hai apne skills grow karne ki Aapka reward directly aapki capability aur performance pe based hota hai Example: Aaj aapki salary 6 LPA hai. Agar aap do saal me solid tech ya management skills seekh lete ho, to 2 saal baad 30 LPA ya even 1 crore+ bhi kama sakte ho. Lekin agar skill pe dhyan nahi diya to layoff bhi ho sakta hai. That’s why: Private Job = High risk, high reward

Conclusion

🔸 Conclusion: Government job ek safe game hai – long term survival aur sustainability ke liye best hai. Private job ek bold game hai – growth, innovation, aur unlimited reward ke liye. Aapko decide karna hai: Aapko “safe life” chahiye ya “next-level growth”?