Home About Articles Blogs Stories Contact
Philosophy & Culture
🌍 Devil World vs God World: The Reality of AI Era

🌍 Devil World vs God World: The Reality of AI Era

Mustak Aalam July 13, 2025

Introduction

Jaisa ki hum sab jante hai, AI (Artificial Intelligence) ka era aa chuka hai. Aaj AI sirf humse baat hi nahi karta, balki humse behtar sochta hai, kaam karta hai, aur decisions bhi humse zyada logical leta hai. Aur isi wajah se me is AI era ko Devil Era bolta hoon. Kyoon? Kyuki ek time tha jab AI nahi tha — companies aur factories me chaplusi, chugli, manipulation karke log achhi position tak pahuch jate the. God era me in logo ka bhi survival hota tha, kyuki God emotion, pain aur feeling samajhte the. Wo weak logon ki help karte the. Isiliye God era me chaplusi bhi ek skill thi. Lekin ab duniya badal gayi hai…

Key Points

Welcome to the Devil (AI) World Is AI world me sirf wahi log survive karenge jo: Apne kaam me genuine hai Kisi pe depend nahi hai Khud ki value samajhte hai Skill based hai, not chaplusi based

Example

AI ko farq nahi padta ki tumne kiski taareef ki, kiski burai ki, ya kitni loyalty dikhayi. Usse sirf data, skill aur result chahiye. Yani agar tum sirf chaplusi, chugli, ya emotional manipulation ke base pe survive kar rahe the — to AI era tumhare liye khatarnak hai. AI ke paas na feeling hai, na love, na pain — sirf logic hai.

Conclusion

Toh Kya Karein? Agar ab bhi tum dusro ki chaaplus ban kar kaam chala rahe ho — toh waqt hai sudharne ka. 🔧 Skill seekho 📚 Knowledge build karo 🧠 Independent bano Varna Devil (AI) world me tumhara koi future nahi hoga.